SWEET SORROWS lyrics

by

JANI



[Pre-Chorus: Abdullah Maharvi]
Tanha he hain jalay (Jalay)
Lay yaadein hum teri (Teri)
Thay saath jo kabhi (Kabhi)
Hain aaj paas nahi (Nahi)

[Chorus: Abdullah Maharvi]
Naa tu pooch kaise raat guzri
Saath thay kabhi par aaj hain nahi (Nahi)
Tere bin pal kat'te nahi
Naa tu pooch kaise raat guzri

[Verse 1: JANI]
Tum bolti bhi ho tou bara naap tol ke (Yeah, yeah)
Kya woh dharkanein saath chhor dein? (Saath chhor dein)
Meri aasteen may saanp laut'tay
Meri achayion ka hisaab kon de?
Mera haath chhor de, mujhe chhoo mat (No, no)
Now you're cutting ties, is it too much? (Too much)
Naa mujhe aaina raas aaye, naa soorat
Ek adad ehl-e-ghum ki zaroorat
Aisa kya karein? (Kya karein?)
Ke hum tumhein yaad bhi rahein aur abaad bhi rahein
Chup rahein par awaaz bhi rahay
Tere zulam-o-sitam se mohtaat bhi rahein
Mera takht palat jaaye, sar pe taaj bhi rahay
Masjid ki galiyon may saaqi bahay
Mein aata rahun, tu bhagati rahay
Mere haath jorne ko ek maafi kahay
When I'm falling alone (No, no, no)
Hairat hai koi mujhe haath naa de
Shaheen hoon mein, tu uqaab naa keh
Samandar hoon mein, tu talaab naa keh
Mein school may likhta tha gaanay
Ab school tou kya poora sheher sunay
Mein ne apnon ke aagay bhi ghair chunay
Meri chaadar naa pheli par pair khulay
Sheher badnaam
Mein laad-pyaar se naa bigra
Uniform may janaazon par likh raha
Phir hoon naa mein Kattar Karachi
Mein behad jazbaati, aazma le naa jigra
I sell dreams, qurbaan kari neend
Kabhi low esteem feel karun, kabhi bohot mean
Kabhi sab saaf dikhay, kabhi sab dikhay teen
[Pre-Chorus: Abdullah Maharvi]
Tanha he hain jalay (Jalay)
Lay yaadein hum teri (Teri)
Thay saath jo kabhi (Kabhi)
Hain aaj paas nahi (Nahi)

[Chorus: Abdullah Maharvi]
Naa tu pooch kaise raat guzri
Saath thay kabhi par aaj hain nahi (Nahi)
Tere bin pal kat'te nahi
Naa tu pooch kaise raat guzri

[Verse 2: JJ47]
Tere baaray sochun, ho jaata hoon shayarana
Rabb ke baray kaam hain jo mil raha hai ghayebaana
Jaahilaana baat karay, parhay yeh koi qaida naa
Ird-gird loug, mein ne khencha koi daira naa (Yeah)
Hum tere liye ghar bhi kya badlay
Tere sheher aata mujhe khaanon may zaiqa naa
Tabhi inn baaton ka zikar he nahi
Tujh se inn baaton ka faida naa
Chal naa sakay
Tum khud ko badal naa sakay
Tum rakhte ho pathar dil jo pighal naa sakay
De hal naa sakay
Waise hum girnay nahi dete kisi ko
Par khud bhi sambhal naa sakay
Mujh pe ab nazrein tiki rehteen lougon ki
Ghar se nikal naa sakay
Khud peenay laga
Mere yaaron ko huay mere peenay se maslay
Jaise maikhanay may hote anjaanay may kisi kaminay se maslay
Raatein guzaarin khud pe jo haavi hote ab seenay ke maslay
Saansein hain bhaari, dard sa uthta, hone lagay jeene se maslay
Humein sab bata rahay ke hum aagay jaa rahay
Pooray ho rahay sab khasaaray
Behter pehnein aur acha khaa rahay
Allah walay hum, Rabb saharay
Hum kehte thay sub kuch he muu par (Muu par, yeah)
Hum se nahi hote ishaaray (Ishaaray)
Jo hum bhi naa thehray idhar tou
Bolo kya phir paas tum aa rahay?
[Pre-Chorus: Abdullah Maharvi]
Tanha he hain jalay (Jalay)
Lay yaadein hum teri (Teri)
Thay saath jo kabhi (Kabhi)
Hain aaj paas nahi (Nahi)

[Chorus: Abdullah Maharvi]
Naa tu pooch kaise raat guzri
Saath thay kabhi par aaj hain nahi (Nahi)
Tere bin pal kat'te nahi
Naa tu pooch kaise raat guzri
A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z #
Copyright © 2012 - 2021 BeeLyrics.Net