Gumnaam lyrics
by Nabeel Akbar
[Verse 1]
Tujhe khone ke baad bhi teri aas rahe
Sab kuch hone ke baad bhi dil udaas rahe
Ab ye gham bhi mujh akele ke nahi rahe
Ab har taraf se log meri zindagi me jhaank rahe
Dhuan dhuan baithe nashe me ham khaas rahe
Kehte dard hote kam agar baantne se
Pesh daale saare maine base kisi waste
Par chore na ye peecha mera ab bhi mere saath rahe
Mere saath shayad tum bhi rehti dukhi
To phir accha hua jaana ki tum mere liye nai ruki
Kuch chahne wale jin ke liye jeena zaroori
Warna mann to karta roz mera karne ka khudkushi
Aisi bhi thi kya majboori dil todhna para
Tum isse behtar mere gale pe khud pher deti choori
Thi kya majboori aise chorna pada
Ki baaki saari zindagi tujh bin lagne lagi adhoori
Saanson se qareeb ho ke bhi miloun ke doori
Ho tum mere liye bani to kyu nai milti mujhko puri
Aankhon me nami meri par hoton pe hansi rahe
Tumhare bin ye dekhiye ham kis tarah se jee rahe
[Chorus]
Gile tow betahaasha zindagi se they
Par jab tum zindagi se gaye to hum akele reh gaye the peeche
Bharosa ab mujhe ye hai kisi pe nahi
Ki koi bhi zindagi bhar saath rehta nai kabhi kisi ke
Shayad mein bhul jaunga tujhe bhi peetey peetey
Shayad mujhe mohabbat phir na ho kabhi kisi se
Kash pe kash lagein or kashmakash mein din ye beetein
Laakhon hasratein dafan ek murda dil ke neeche
[Verse 2]
Choti paregi ek raat ginne bethe dil ke rog agar
Kya karu mein baat meri jaga khud ko soch ho gaye
Laakhon mein tamashbeen par bache mere dost kam
Agar tum mujhko jaano to shayad ho ache dost hum
Kinaare sehra ke par dil ye phir bhi pyaasa
Idhar har kisi ko lagta uska gham hi sab se ziyada
Mera tumse milne se pehle tha marne ka iraada
Wo jo zindagi mein aake meri tumne badal daala
Tum nahi to kuch nhi berang sahi ye zindagi
Pyaar ya thi zid meri pata mujhe khud nahi
Par jab se tum gayi ke jese saansein meri tham gayi
Dil karta in pannon k sath jalaadun khud ko mein yahin
Mat batao mujhe ab tum kia ghalat hai kia sahi
Jo ho chuka wo choro kyunke waqt to paltega nai
Jab mujhe zarurat thi sab se ziada tmhari
Us waqt dene ko sahara mujhe koi yahan pe tha nahi
To mein bhi wo raha nahi tum jaante the jisey
Mar chuka wo shakhs ye uski laash tumhe dikhe
Tumhare baare mein zikar tak meine kisi se kiya nahi
Par khud mein tera aks ab bhi aeene mein dikhe mujhe
[Chorus]
Gile tow betahaasha zindagi se they
Par jab tum zindagi se gaye to hum akele reh gaye the peeche
Bharosa ab mujhe ye hai kisi pe nahi
Ki koi bhi zindagi bhar saath rehta nai kabhi kisi ke
Shayad mein bhul jaunga tujhe bhi peetey peetey
Shayad mujhe mohabbat phir na ho kabhi kisi se
Kash pe kash lagein or kashmakash mein din ye beetein
Laakhon hasratein dafan ek murda dil ke neeche