Nikamma(Romanized) lyrics
by Bharg
[Skit: Bharg & Moses Koul]
Bharg uth gaya tu?
Tu yahi pada hai (uth)
Jawab de, kya karega tu?
[Chorus]
Nikamma, main nikamma
Yeah, yeah, yeah
Nikamma, main nikamma
Yeah, yeah, yeah
[Verse 1]
Subah utha, main fir deewar yun ghoorte so gaya
Shaam beeti, pal, do-pal mein maa bolti hai, hosh mein aa
Beta, tu kya karta hai apna dhyan kab rakhega?
Nahana, khana, kaam na karne ka bahana tu khud ban gaya
Sambhal bhi ja, acche se baat akal mein daal
School tera yun nikal gaya, college mein bhi fisal gaya
Toote ga kab tera qila?
Bin naukri yun pada hua"
Sabar mera poora hua, sabar mera poora hua!
Bhag, bhag, bhag, bhag
Haan, bhag ja fir tu isse bhi ab
Kab aadat teri badlegi? Kab? Soch to zara
Bhag, bhag, bhag, bhag
Zindagi nahi wait karti, salaam ugte sun ko deti hai
Dekh le zara
[Pre-Chorus]
Kyun na chhodte sab ab mera peecha?
Kyun? Jab maan chuka ki ab, haan
[Chorus]
Nikamma, main nikamma
Yeah, yeah, yeah
Nikamma, main nikamma
Yeah, yeah, yeah
[Verse 2]
Kyun mujhko rokte ye? Jab karna hai kuch aur dil sе
Laga doon apni jaan usmein par haan to bol do saamne se
Maangtе-maangte pareshan ho gaya hoon main
Sabke aage haath jod ke khada hoon ab main
Karunga main dil ki man-marziyaan, chahe keh do mujhko
Dost bhi saale jhoote nikle, samajhte nahi mere dil ko
[Bridge]
Bharg, kya karna hai? (Nikamma main)
Bharg, tu kuch karna bhi chahta hai bhala?
(Nikamma tu, nikamma main)
Bhai, sudhar ja, yaar, please!
(Nikamma tu, nikamma main)
Kitne saalon tak aise hi pada rahega (Chup!)
(Nikamma tu, nikamma main)
Kuch to kar le, bhai (Chup!)
(Nikamma tu, nikamma main)
Bhai college nikal gaya, yaar (Chup!)
(Nikamma tu, nikamma main)
Ladke, naukri dhoond—
Chup!
[Chorus]
Yeah, yeah, yeah
Nikamma, main nikamma
Yeah, yeah, yeah