Sunehri Zindagi lyrics
by Bharg
[Verse 1: Bharg]
Jaane kya ye ho gaya hai
Inn aankhon me, main kho gaya hai
Neend me tu hai basi
Sunehri hai ye zindagi
Ab haath thaame toh hum chal diye
Ab rone ki kya hai wajahaye?
In fooloo'n me hai baste kaante bhi
Hum dono ko hai ye pata
Ab haath thaame toh hum chal diye
Ab rone ki kya hai wajahaye?
In fooloo'n me hai baste kaante bhi
Hum dono ko hai ye pata
Jarre badle, toh tumse hai mile
Banjar zameen, par fool yu khile
Lagta hai zindagi
Maine toh jee nahi
Gumraah hi tha, tere bina
[Bridge: Bharg & Rawal]
Naa jaane kya (Naa jaane kya)
Ho gaya (Ho gaya)
Inn aankhon me (Inn aankhon me)
Kho gaya (Kho gaya)
Seene me (Seene me)
Tu hai basi (Tu hai basi)
Sunehri hai (Sunehri hai)
Ye zindagi (Ye zindagi)
Haath thaame jo hum chal diye
Phir rone ki kya hai wajah? (Kya wajah?)
Phooloo'n me hai baste kaante bhi
Hum dono ko hai ye pata (Dono ko)
[Verse 2: Rawal]
Jaise din ko chahiye suraj (Suraj)
Jaise raat ko chahiye chaand (Jaise raat)
Waisi bani tu jaroorat
Apni aur leti hai baandh (Apni aur)
Khatti aur meethi full package (Wooh!)
Bhai bhi tera kaafi savage
I could never been an average
Dono pe bhatera baggage (Dono pe)
Dil ke kone me khajana (Dil ke kone)
Pada rehta hai rojaana
Mujhe bas chahiye bahana (Mujhe bas)
Mujhe bas paas tere aana (Mujhe bas)
[Bridge: Rawal]
Jaise din ko chahiye suraj
Jaise raat ko chahiye chaand
Mujhe chahiye bas bahana
Mujhe bas paas tere aana
(Mujhe chahiye bas bahana)
Jaisa jhootha bukhaar kyunki job pe hai nahi jaana
(Mujhe bas paas tere aana)
Jaise bhanwro ko sehad ke paas hai mandrana
Mujhe chhod ke tu na jaana (Jaana)
Humara rishta purana (Humara)
[Refrain: Rawal]
Likha ye tere liye geet (Tere liye)
Har janam saath mere gaana (Har janam)
Raat ko dil ki baat batana
Din ko mere saath bitana
Likha ye tere liye geet
Har janam saath mere gaana
[Instrumental]