KASHMIR lyrics

by

SOS (IND)



[Intro: Tufail and Aatankki, Tufail]
Zinda dil jiska maut usse kya maare? (Kya maare?)
Jung haq ki toh saans meri kaise haare? (Kaise haare?)
Srinagar zindabad sada buland naare (Buland naare)
Toh bolo mere sath zindabad saare

[Chorus: Tufail]
Zindabad
Mere sheher ki kahani
Bolo zindabad (Zindabad)
Mere sheher ki abadi
Bolo zindabad (Zindabad)
Behta khoon aur siyahi
Sada zindabad (Zindabad)
Har harf-e-azadi
Bolo Zindabad (Zindabad)
Mere sheher ki kahani
Bolo zindabad (Zindabad)
Mere sheher ki abadi
Bolo zindabad (Zindabad)
Behta khoon aur siyahi
Sada zindabad (Zindabad)
Har harf-e-azadi

[Verse 1: Aatankki and Tufail]
Mujhe khwahish jis chinar woh Nahi mere baagh main
Mere shehar me laashein bikti hai bazaar main
Mai maut se hoon ladhta rеhte roz naye khuab mai
Tufail se hu kеhte "Roohe dikhti hai azaab Mai"
Karu aankhein jo band
Chale woh mere sang (Sang)
Sunta mai unka dard
Banata unhe harf (Harf)
Mujrem Har dusra shaks
Mukbir Mera khudka aqs
Tajrub Nashe Bana manz
Mumin bhula apna farz
Kuch karz Unke humpe jinke bhule hum hisab
Uska dil kaise sard hai jiski jalli hai kitab?
Insan yahan Gard hai lakin kitno main Iman
Zinda Mera Har ek lafz hai chahe lelo meri Jaan
Kurban Srinagar pe Har saans meri
Yaad mujhe khauf bhari raate saeri
Subha masjid Ka elaan jalte kakaz kuch makan
Tabhi mane na hai haar Ab bhi laab pe Zindabad
[Chorus: Tufail]
Toh bolo Zindabad (Zindabad)
Mere sheher ki kahani
Bolo zindabad (Zindabad)
Mere sheher ki abadi
Bolo zindabad (Zindabad)
Behta khoon aur siyahi
Sada zindabad (Zindabad)
Har harf-e-azadi

[Verse 2: Tufail]
Mujhe khwahish jis kitaab ki uska koi musannif nai (Musannif nai)
Aur sunna woh qalaam jiska koi mutakalim nai (Mutakalim nai)
Haan bete tujhmein utna ilm nai
Ye qabza tabhse jaari hai teri utni umar nai
Mai Umar nai par Mukhtar mere sheher ka
Nisar mai iss sheher pe
Burhan mai iss sheher ka (Sheher ka)
Tu kaun mere sheher ka?
Nuqsaan mere sheher pe?
Badzaat jaake zeher kha
Kyu tu tehelta? Yaha se ho faraar
Ye dikhta paid hai nai anaar
Ye mere dost ka hai mazaar
Malik-ul-maut se milke leta mai ye do ashaar
Ye zindagi masnooi maut ka raaz milega do gaz baad
"Murde jaag" chilaati rehti ye likhaayi
Supurd-e-khaak kari kitno ki siyaahi
Karte haazir aag ye wazeefon ki kamayi
Tu mutasir aj ye taqat hai sachai
[Chorus: Tufail]
Bolo zindabad
Mere sheher ki kahani
Bolo zindabad (Zindabad)
Mere sheher ki abadi
Bolo zindabad (Zindabad)
Behta khoon aur siyahi
Sada zindabad (Zindabad)
Har harf-e-azadi
Bolo Zindabad (Zindabad)
Mere sheher ki kahani
Bolo zindabad (Zindabad)
Mere sheher ki abadi
Bolo zindabad (Zindabad)
Behta khoon aur siyahi
Sada zindabad (Zindabad)
Har harf-e-azadi

[Outro: Tufail]
Azaadi
A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z #
Copyright © 2012 - 2021 BeeLyrics.Net