INTRO lyrics
by Raffey Anwar
[Verse]
Woh bhi doob jaaye ashqon may
Jab qalam lage kagazon ko
Rehti tu zameen pe
Tou kyun takun mein baadalon ko?
Khatam karna chahta hun mein
Roz badhte faaslon ko
Khushi ka paigaam ho tum
Ek haseen khwaab ho tum
Aaj ho tum, shayad kal nahi
Din guzar rahe tere bin aur raatein dhal rahin
Tere mere beech galat-fehmi pal rahi
Zindagi hum jee nahi rahe, zindagi bus chal rahi
Maathe pe shikan nahi, kya baaton ka asar nahi?
Bhatke hue musafiron ka hota waise ghar nahi
Jab chhod ke he jaana hai tou saath mere chal nahi
Tu ne he tou kaha tha ke bichhadne ka darr nahi
Hal nahi ab meri mushkilon ka
Mein tha mehmaan tere dil may bus kuch dino ka
Usne bola naa suna, usne kuch nahi socha
Kehte yaar sabar waala, dete mujhko bosah
Abhi aankhein rehti laal, mere bikhre hue baal
Khaali haath koi nahi jaata, tera darr bemisaal
Hum the ghar ke kafeel, tere ghum may shareeq
Jou tha laga diya aur kya karte mazeed
Ek tujhse he door, baaqi subse qareeb
Doob gayi umeed kagaz ki woh kashti rahi
Tu meri naa hui, baaqi sabki rahi
Kisi se naa kahin baatein jou thi tumse karin
Kya sunayen tumhe dil ka haal
Humein maar deta tere aane ka khayaal
Tere jaane ke jou baad rahe tumse kuch sawaal
Hum the ghair, jabhi diye dil se yun nikaal
Jou tum nahi tou hum nahi
Aur hum nahi tou tum nahi
Mein likhun issi aas may ke sun rahi ho tum kahin
Hum woh nahi jou ho sakay hain tere
Teri kitaab may bus dou safhe hain mere