Nasamajh lyrics

by

UDAY



[Intro]
Ye duniya toh ajeeb hi shuru se
Kaafio ko yahaan jeene ki na wajah di
Soche bhi na zara bhi
Koi bhi kuchh karne se pehle bas soche doosre ki saza ki
Mere paapon ke saath kala ka ghada bhi
Jab chot padi kisiko toh shraap de vo doosre ko karma ki
Magar iss hisaab se toh jise chot lagi
Asal mein kya bhaari uska karma nahi

[Pre-Chorus]
Kyun, yahan bekhabar hi bekhabar ko jaane
Vo bhi darr se rehta durr
Main bhaaga apne ghar se
Mera ghar toh bann chuki thi bas ab tu
Bas dekhun chaaro taraf hi har jagah
Bas main bolun kya hi khoob, kyun

[Chorus]
Kyunki duniya saari nasamajh
Ye duniya saari nasamajh
Ye duniya saari nasamajh, ye duniya saari nasamajh
Ye duniya saari nasamajh
Ye duniya saari nasamajh, ye duniya saari nasamajh
Main koshishein bhi kari, toh bhi koi yahaan pata mujhko na samajh
Yahaan nasamajh bhi na samajh ke bole sabko nasamajh
Main bhi aata duniya mein, toh main bhi thehra nasamajh
[Verse]
Kya tum thodi duniya ko samajhte ho
Thode bhatakte, vahi thode se badalte log
Kuchh vaade tode, har kadam par ye kasam ke chor
Aur kuchh bas thak gaye, aur so gaye hai kab ke vo
Uthte hi sunne mili das baatein
Pehle jaisa lagta nahi, to mujhe lagi sach baat hai
Dinon mein main rehta band tha pehle bhi
Bas ab saare din mujhe dikhte hi nahi ye
Khaali bas raatein, bas raatein
Kuchh puchhe mujhe ki ab aaj kal aap kyun ni rote
Jab peechhe dekhun saari wajahein bhi durr hi hogaye
Subah hone se pehle hi hoon main sojata
Toh kaise ho savera, kaise hone wala Surya-Uday
Ab khudse baitha juda main, sochun
Kya main sulake ab khud aake kar sakun khud se sulaah main
Par kaise khud ki baatein bhulaake
Main khuda se bhi puchhun kya tu khuda hai ya khuda ka bhi khuda ek
Main ruka vahi aaye nahi tum
Hum roshni ke aage, magar saaye rahe ghum
Jo diary main bharta tha vo diary bhi chup
Vo shaayari hai khush kaise jab shaayar hi nahi khush
Meri naarazgi jab tumse tabh tum khafa hoti
Kya tum bhi nasamajh ya aakhir mujhe saza dogi
Phir sochun saza hogi sapne saare bikhrege
Par sapne poore ho gaye toh jeene ki kya wajah hogi
Chot puraani phirse aaj lagti nahi
Jeet na miley par vo haar tak hi sahi
Vo jisse karti pyaar vo usse karta nahi
Aur vo kare jise vo usse pyaar karti nahi
Zinda uthade jo vo neend nahi hoti
Ghadi ki sui atki dhaai par vo teen nahi hoti
Agar Ganga mein jaate paapi paap dhone, toh jo paap karte na unko kya Ganga naseeb nahi hoti
[Pre-Chorus]
Kyun, yahaan bekhabar hi bekhabar ko jaane
Vo bhi darr se rehta durr
Main bhaaga apne ghar se
Mera ghar toh bann chuki thi bas ab tu
Bas dekhun chaaro taraf hi har jagah
Bas main bolun kya hi khoob, kyun

[Chorus]
Kyunki duniya saari nasamajh
Ye duniya saari nasamajh
Ye duniya saari nasamajh, ye duniya saari nasamajh
Ye duniya saari nasamajh
Ye duniya saari nasamajh, ye duniya saari nasamajh
Main koshishein bhi kari, toh bhi koi yahaan pata mujhko na samajh
Yahaan nasamajh bhi na samajhke bole sabko nasamajh
Main bhi aata duniya mein, toh main bhi thehra nasamajh

[Outro]
Ye duniya lakeer jo mitti chali jaati jitna tum usse kheenchtein
Vo safar bhi kya safar, jo aadha chhode na musafir beech mein
Khair ye duniya toh nasamajh, main safar ki shaanti ko poora sokh liya
Khair tu hi toh duniya hai meri, aur hum ek hi hai
Tabh hi nasamjhi mein safar adhoora chhod diya
A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z #
Copyright © 2012 - 2021 BeeLyrics.Net