Gareeb Shayari lyrics
by LASH CURRY
[Chorus]
Main karta hoon ajeeb shayari
Main gareeb shayar, karta gareeb shayari
Khayaal rakh maa baap ka, Long Live My G
Aise gaane, aisi baatein kahin nahi mil paayegi
Main karta hoon ajeeb shayari
Main gareeb shayar, karta gareeb shayari
Khayaal rakh maa baap ka, Long Live My G
Aise gaane, aisi baatein kahin nahi mil paayegi
[Verse]
Sawaal karna haqq hai mera rakhne aaya neev pakki
Nashe kar ke yuvaon ki toot chuki reedh haddi
Mandiron ke baahar bhikariyon ki bheed lagti
Netaon ki baatein kyun ajeeb lagti
Yeh candle ek scandal hai, chhod do mombatti
Yeh bhagat wali qaum kyun dhong pe maun rakhti
Mera itihaas kehta mujh se, tu khol de pol sabki
Ab tu sikhayega usey woh kya pehen aur odh sakti
Inn se gol banti roti nahi, troll karta perfect
Tu khana khaata time pe na bhoj karta bhar paet
Boss karta tangg tujhe, roz karta frustrate
Roz paida hota, banti maut meri birthdate
Maa-baap se badh ke dastavеz ho gaye
Yeh saare wеstern bann-ne ke chakkar mein fail ho gaye
Market thap poora, share saare dher ho gaye
GOAT bann-ne ki hoad mein, ladke bhed ho gaye
Gar maa meri bimaar toh, kis baat ka intezaar
Beech bazaar mein chain luti, daam tha bees hazaar
Zilla Badar launde, hum pe inaam tha tees hazaar
Remand mein kheenchi khaal, bas jaan na nikali yaar
Peechhe sahab ne chillaya, isko aur thoda maar
Khota public aake bajti, wannabe Lamar
Inka J alag, Cole alag, vaasta nahi hip-hop se
Indore se Patna, Patna Rajdhani scene sort hai
Yahan sabhi ko hi behtar ki talaash hai
Mujhe ek rapper mein ek rapper ki talaash hai
Woh zinda hai ya laash hai, parinda ek hataash hai
Samandar mein bhi aag hai, woh sab
Murajhaye phool saara, dosh aata maali pe
Unn bhanwaron ka kasoor nahi dikhta, yeh duniya jaali hai
Horn bajte gaadi ke, ma koyal gaati daali pe
Married to the game, poori royal wali shaadi hai
Guldasta hai sawaal ka, phool accha hai sambhaalna
Qudrat ka yeh kamaal tha, chhu sakta hoon main aasmaan
Munh lagta nahi main khamakha, karta hoon main saadhna
Muqadma ya phir khaatma, latka bann ke aatma
Lafda kar ke bhaag na
Ghanta ghar ke paas mein laash mili poochh-taachh na
Ghapla karti aurat, uska aadmi khoob maarta
Fees na milne pe school daakhila kyun kaat-ta
Hum katt gaye woh kaat-ta
Hum bant gaye woh baant-ta
Kisi kasbe mein teacher apne bacche ko maarta
Par jaan se, aur dhyaan se
Suno aane wali baatein sacchi daastan
Yeh main nahi, mere jazbaat bol rahe
Mere gaano ka daam kuch abhi dus laakh bol rahe
Kuch controversies ke liye masla khoj rahe
Dhan ke lobh mein, poori lanka jhonk rahe
Samaaj ki sunu main ya anaaj ki
Jab baat aati bhookh ki toh pagal hona laazmi
Jab baahar aati news, behen ko zinda tak nahi chhoda
Safed coat hua laal, jiske daag nahi chhupe aaj bhi
Kisi ne poochha nahi, beta tera haal kya hai
Sabhi ne poochha, tere batwe mein kaagaz kitne
Har jagah dhuan-dhuan, kaafi hanikarak din thae
Kar diya maaf sabhi ko, hum bhi toh baalak dil thae
[Chorus]
Main karta hoon ajeeb shayari
Main gareeb shayar, karta gareeb shayari
Khayaal rakh maa baap ka, Long Live My G
Aise gaane, aisi baatein kahin nahi mil paayegi
Main karta hoon ajeeb shayari
Main gareeb shayar, karta gareeb shayari
Khayaal rakh maa baap ka, Long Live My G
Aise gaane, aisi baatein kahin nahi mil paayegi
[Outro]
Woh bolte ki lashcurry tum itna kaddwa kyun bolte ho
Toh main bolta hun
Ye sur-lay-taal sab cheen lo, main praanno se bhairav launga
Aur agar main nahi bola toh main khud ko kya moonh dikhaunga