Sapne lyrics

by

LASH CURRY


[Verse 1]
Maa dekhna TV pe kitna hard dikh raha hoon
Aur inko lagta main chirag ghis raha hoon
Inko lagta ki main flows pocket bars likhta hoon
Par main kitaab likhta hoon, likhne mein baap jitna hoon
Andar bhookh itni hai poora pahad nipta doon
Mujhe bazaar ki samajh, main vyapar seekhta hoon
Aansu dene wala shayad se samandar leke baitha
Maa ko bura lagta hai jab main lachaar dikhta hoon
Gaadi chalani aati nahi, mujhe ghar chalana aata hai
Phir middle class ladka ek din zalzala le aata hai
Jeet ka ehsaas hi sard hawa de jaata hai
Rongte khade gala bhaari har jagah pe chha raha main

[Pre-Chorus]
Bura dekha, bura suna, bura kiya nahi
Kafir hua, maa ki dua tabhi ruka nahi
Jitna liya, dugna diya, kiya gunah nahi
Sabhi ka pyaar, sab ke bina hua poora nahi
Bura dekha, bura suna, bura kiya nahi
Kafir hua, maa ki dua tabhi ruka nahi
Jitna liya, dugna diya, kiya gunah nahi
Sabhi ka pyaar, sab ke bina hua poora nahi

[Chorus]
Kaafi badal sa gaya tha main
Raahi, bhatak sa gaya tha main
Haan ji, ab sab kuch hi kadmon mein hai
Ho, raahein sooni padi thi
Nigahein shikhar pe adi thi
Par baawe, ab lagta hum sapno mein hain
[Verse 2]
Dena hai saath, toh phir saath dena falak tak ka
Meri har baat pe na muskura aur palak jhapka
Maa boli, ab tera ravaiya thoda alag lagta
Khair maa toh maa hai, usse accha koi nahi samajh sakta
Ghar se durr rehke sab ke dil mein ghar kiya
Adakar theek nahi, par adaa maine farz kiya
Dil mеin basa ishwar nahi, toh mandir masjid church kya
Duniya ki nazron mein rone wala vyakti mard kya
Woh namak lekе aaye saare baraf ki jagah
Humne bahut samjhaya aur unpe tark nahi bacha
Tu ne jhoothi kasmein kha li apne maa baap ki
Phir mere bhai tere galat mein, kuch galat nahi bacha
Mujhe movie dekhna pasand nahi, main khud ki bana raha hoon
Bole shohrat+paisa daldal hai, toh main dubki laga raha hoon
Kabhi Delhi, kabhi Kota, kabhi Roorkee macha raha hoon
Music mujhe banata hai, na ki main music banaa raha hoon
Padhne ki umar mein raha chudiyan tha bech
Sab kuch kho diya, bacha hai keval sui-dhaaga shesh
Manzil ke beech ki li hai dooriyan samett
Ab main itna hoon zaruri jaise Surya ka catch

[Pre-Chorus]
Bura dekha, bura suna, bura kiya nahi
Kafir hua, maa ki dua tabhi ruka nahi
Jitna liya, dugna diya, kiya gunah nahi
Sabhi ka pyaar, sab ke bina hua poora nahi
Bura dekha, bura suna, bura kiya nahi
Kafir hua, maa ki dua tabhi ruka nahi
Jitna liya, dugna diya, kiya gunah nahi
Sabhi ka pyaar, sab ke bina hua poora nahi
[Chorus]
Kaafi badal sa gaya tha main
Raahi, bhatak sa gaya tha main
Haan ji, ab sab kuch hi kadmon mein hai
Ho, raahein sooni padi thi
Nigahein shikhar pe adi thi
Par baawe, ab lagta hum sapno mein hain
A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z #
Copyright © 2012 - 2021 BeeLyrics.Net