Tumehn Dil Diya lyrics

by

Lata Mangeshkar


Tumhen dil diya
Ye kya kiya main ne -2
Duniya ka dard le liya main ne
Tumhen dil diya
Ye kya kiya main ne
Duniya ka dard le liya main ne
Kya bhale din the vo -2
Nazaron mein tum samaaye na the
Kabhi bhari thandi saans nahi thi
Aur aankhon mein aansu aaye na the
Ab roti hoon main -2
Kya kiya haay! kya kiya main ne
Tumhen dil diya ...
Ab haal ye ho gaye hamaare -2
Sada bheege rahe nainon ke kinaare
O jaanevaale main pukaaruun tu ek baar to a -2
Mere rote hue dil ko ye baat bata
Bhala kiya ya bura kiya
Haay! bura kiya main ne
Tumhen dil diya ...
A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z #
Copyright © 2012 - 2021 BeeLyrics.Net